Thursday, June 21, 2018

Khamoshi

​Kabhi tho samjho
Pehle khamoshi meri thi
Ab Hamari hai
Khamosh zubaan alfhaaz nahi suna
​a​
thi.

Koshish Jaari Hai

Ye pehli Baar Nahi hai
Jab Zindagi mili ek doosri Zindagi se.
Khwab bune,
Khwab Jude,
Khwab bhikre,
Khwab phir se jude 
Chaliye chodiye ye kaun si pehli dafa hai
Ki koshish jaari hai.

Khamosh Zubaan

​Lafzon ke bojh se aksar zubaan thak jaata hai
 Ye pata Nahi ye khamoshi samajhdari ya befkoofi

Jhuk ne se rishta agar mazboot ho 
Tho jhook jao
Par itni gehraayi se tho mat jhuko ki chaay ke saath diye hue biscuit ki tarah doob Gaye
Aur tootne par awaaz bhi Nahi.

Raastein

​Wo raastein bhi na mil paaye
Jo saath chalane ke vaadein kar chuke the
Ye tho zaroori nahi
Ki manzileyein ek ho
Kyunki ye aksar hota hai
Ki
Raastein ke pathar se ishq ho jaaye
Aur Manzileyein kho jaye.

Un aasuvon ka kya mol
Jo ruke na ruke
Jo raat ki khamoshiyan mein siskiyan le.
Jo guzarte waqt ke saath Paani ban jaaye.

The Silence of the Lambs

​Chasing rainbows
That should have followed the rains
Chasing love
That again should have followed the hearts
Chasing old love
Because no new love came.
All that I have been doing is chasing dreams without Love.

What is it that to be in love?
That which breaks you
Or that which staggers you away from life?
What is it that to be in love 
Pathways meet 
But seldom crossed.

Chased love to realize 
That in vain the chase is on
In pursuit of love.

For the love that holds you doesn't make you chase. 

My heart aches 
When I remember you how I chase you for love
For all that I remember is embers of lost love
wearily and tirelessly